Aaliya : di kahaan le jaa rahe ho aap mujhe? Aisha : sshh.. Chup chaap bina awaaz kiye chalo mere saath*drags her out of the room* Aaliya : par di aap mujhe ammi abu ke room ki taraf kyun lekar jaa rahe ho? Aisha : i told u to shut up.. Chup chaap chalo mere saath.. Tumhe khud pata chal jaayega Aaliya : par di.. Aisha : gaadi mei baitho Aaliya : di Aisha : damn u aaliya.. Just sit in the car*makes her sit n drives*
CAR
Aisha : chalo mere saath.. Tujhe abhi sab sach pata chal jaayega.. Aaliya : par aap mujhe zeeshan ke ghar kyun lekar jaa ...
Zeeshan's House
Zeeshan : aaah.. Kaahaan jaa rahi ho.. Wapaas aajao plz..*pulls her close* Sara : zeeshan.. Tumhare ammi abu aggaye toh*tries to move* Zeeshan : nahi ayenge.. Aa bhi gayye toh unhe hamare baare mei pata hai Sara : aur agar tumhari woh fiance aaliya agayi toh?*gives a disgusting luk* Zeeshan : woh toh bilkul hi nahi aayegi.. Aur agar aa bhi gayyi toh mei usse aaram se bewakoof bana dunga.. Jaise har baar banaata hoon.. Bewakoof ladki samjhti hai ki mei usse sacha pyaar karta hoon aur apni poori zindagi uske saath spend karna chahta hoon*laughs* Sara : bechaari*starts laughing* Zeeshan : par usse yeh nahi pata ki mei kitna bada kameena hoon.. Ki mei usse nikaah karte hi uske paise lekar nau do gyaarah hone waala hoon.. Aur phir sirf tum aur mei apni zindagi khushi se spend karenge.. Us behenji ko sadhne do yahaan .. Us zain ki bhi baat ka wishwaas nahi karegi woh.. Bechaare ne bataya hoga apni bechaari ko ki mei usse cheat kar rahaa hoon.. Par usne uski baat nahi maani hogi.. Agar maan leti toh woh abhi yahaan hoti.. Aur tum aur mei aise ek saath nahi hota.. Bechaari.. Uske baare mei sochta hoon toh bechaari par taras aata hai mujhe.. Ek toh bichaare zain ne uske saath bewaaafaai ki aur ab mei*laughs*
Aaliya : how dare u.. How dare u zeeshan*comes inside n slaps him hard* Zeeshan : what the hell*hold his cheek with his hand* Aaliya : samjte kya ho tum apne aap ko huh?? How could u do this to me zeeshan.. Mei tumhe ek acha aadmi samajti thi.. Aur tum .. Chii*has tears flowing down her cheeks* Aaliya : tumhe kya laga mujhe pata nahi chalega tumhari kartootoun ke baare mei.. Zain ne sach kahaan tha.. Tum jaisa kameena is duniya mei ho hi nahi sakta.. Ghin aati hai mujhe apne aap kar ki maine tum jaise aadmi ke saath nikaah karne ke liye manzoori di thi.. Agar ammi abu ko in sab ke baare mei pata chalega toh chodenge nahi woh tumhe*holds him by his collar*
Zeeshan : ohh plz aaliya.. Cut the crap.. Tum kya samajti ho apne aap ko? Pata nahi us zain be tumme kya dekha ki woh tumhare pyaar mei itna pagal hochuka hai..tum ho kya cheez? Huh??ek zinda chalti phirti laash jisse koi bhi bewakoof bana sakta hai.. Are jab tum apni ammi abu ki baatoun par yakeen karke bewakoof ban sakti ho toh mei kya cheez ho? Aaliya : kya kahaan tumne ?*shocked* Zeeshan : oh ofcourse tumhe nahi pata hoga.. Thn let me tell.. Ki tumhare ammi abu ko meri kartootoun ke baare mei sab pata hai.. Ki mera aur sara ka affair hai.. Bas itna nahi pata ki mei unki daulat lekar bhaag jaane waala tha.. Aaliya : nahi.. Tum jhooth bol rahe ho.. Mere ammi abu aisa nahi karsakte Zeeshan : ye hi nahi.. Unho ne aur bhi bahut kuch kiya hai*laughs* Jaanti ho zain ne tumhe cheat nahi kiya.. Tumhare abu ne zabardasti usse yeh sab karvaaya so that tum usse nafrat karo.. Aur woh bechaara tumhari mohabbat mei itna andha hai ki usne tumhare abbu ki baat maan bhi li.. Unhi ke kehne par woh new york jaane waala tha.. Par pata nahi aisa kya huwa jo woh yahaan ruk gaya.. Us raat hotel mei bhi usne mujhe aur sara ko ek saath dekha.. I swear itna gussa maine uski aankhoun mei aaj tak nahi dekha.. Par kya kare.. Bechaar tumse beintehaa mohabbat karta hai*laughs* Aaliya : nahi.. Tum jhoothbol rahe ho.. Ammi abu aisa nahi karsakte.. Zeeshan : yakeen nahi hota toh unse jaake khud poochlo.. Mera dimaag kharab na karo.. Waise bhi acha hi huwa tumne muje dekh kiya.. Ab tumse pyaar ka natak toh nahi karna padega*laughs..* Aaliya : shut up u jerk*slaps him hard on his cheek again.. Removes her engagment ring n throws it on his face n leaves*
OUTSIDE ZEESHAN's HOUSE
Aisha : aalu r u alright? Aaliya : di kya yeh sab sach hai? Aisha : aalu mei.. Aaliya: mujhe ghar le chale.. Muje ammi abu se baat karni hai
AALIYA's HOUSE
Shabana : mujhe bahut darr lag rahaa hai agar aaliya ko pata chal gaya toh? Ghulam : kuch pata nahi chalega begum.. Aap itni fikr mat kijiye Shabana : par ab toh zain bhi wapaas laut chuka hai.. Aapke manaa karne ke bawajud.. Agar usne aaliya ko sab sach sach bata diya toh? Ghulam : Begum.. Aap itna kyun darr rahi hai.. Jaise peechli baar aaliya ki khushiyo ka havaala dekar usse uski zindagi se door kardiya tha is baar bhi aise hi kuch karunga.. Tab toh sirf phone par usne doosri ladki ki awaaz suni thi.. Ab usko kisi doosri ladki ke saath dikaunga.. Tab toh uska pyaar poori tareeke se zain ke liye mar jaayega aur woh zeeshan ke paas chali aayegi..
Aaliya : kyun?? Kyun kiya aap dono ne mere saath aisa??*comes crying* Shabana : aaliya.. Beta Aaliya : nahi ammi.. Aaj nahi plz.. Maine aap dono pe apne aap se bhi zyaada bharosa kiya tha.. Par aap dono.. Ek baar keh dete ki zain ko chod do.. Mei khud chod deti.. Yeh sab karne ki kya zarurat thi aap dono ko?? Mera aitbaar toda aap dono ne.. Mujhe zain se alag karvaaya.. Na jaane maine usse kya kya nahi kahaan.. Kyunki aap dono ne usse yeh sab karne par majboor kiya.. Kyun abu ?? Kyun ?*breaks down* Ghulam : aaliya.. Humne kahaan tha ki usse chod do.. Tumne baat nahi maani thi.. Aaliya : kyun nahi maani thi yaad hai aapko? Aap uspar galat ilzaam laga rahe the.. Jo us baar bhi aapne wohi kiya.. Par is baar maine uska nahi aapka dono ka aitbaar kiya.. Aur us zeeshan.. Us zeeshan ke baare mei jaante huwe ki woh kisi aur ladki ki saath hai aap log mera nikaah usse kar varahe the?? Itne tang aagaye the mujhse aap log?? Apni zindagi mei maine khabhi nahi socha ki aap dono mere saath aise karenge.. Aur ab bas.. Mei zain ke paas jaa rahi hoon.. Aaj agar di nahi hoti toh shayad mujhe iske baare nei pata bhi nahi chalta.. Thanku di*comes n hugs* Aisha : take care aaliya.. Aur jaao.. Zain ke paads jaao.. Woh tumhara intezaar kar rahaa hoga.. Ghulam : aaliya agar tumne uske paas jaane ki koshish b ki toh mujhse bura aur koi nahi hoga*angry* Aaliya : aap se bura aur koi ho b nahi sakta abu.. Jo apni hi beti ki khushiyaan apne haathoun se barbaad kare.. Allah hafiz*goes away* Ghulam : aaliya..*screams but she leaves*
ZAIN's HOUSE
Aaliya : i'm sorry zain .. I'm sorry*breaks down* Zain : ssh sshh.. Its okay*has tears in his eyes.. Cups her face n kisses her forhead* I'll always luv u.. Aaliya : i luv u too..*wipes away her tears* Zain usman Abdullah.. Will u Marry me? Zain : what?? Aaliya par*shocked* Aaliya : will u marry me? Zain: yes i will par Aaliya : toh chalo abhi kisi qazi ke paas jaate hai nikaah karlete hai.. Zain : par aaliya tumhare ammi abu Aaliya : mujhe unke baare mei koi baat nahi karni.. Aur na hi mei unho apne nikaah par dekhna chahti hoon Zain : par aaliya Aaliya : plzz zain Zain : okay*hugs her*
MOSQUE
qazi : Zain osman abdullah waliy Osman Abdullah kya aapko aaliya ghulam haider se yeh nikaah manzoor hai? Zain : manzoor hai*looks at aaliya through the transparent parda between them.. Aaliya blushes* qazi : aaliya ghulam haider waliy Ghulam Haider kya aapko Zain Osman Abdullah Se yeh nikaah qubool hai?? Aaliya : qu... Ghulam : ruk jaaiye qazi sahab