| DUKH ANMOOL HOTAY HAIN Qudrat ki wadiyat hotay hain Kabhi kuch day kar jatay hian Kabhi sub kuch cheen laitay hain Kabhi bechain kartay hain Kabhi jeena sikhatay hain Kabhi bantay hain jab aansoo Umer bhar yeh roolatay hian Kabhi lab ki hansi ban kar............ Naie duniya sajatay hian............... Kabhi meethi kasak ban kar................ Anjani khalish ban kar Makeen-e-dil yeh bantay hain Kisi sourat nahin mittay Jo in say door bhago tou Nahin janay nahin daitay Na zindah rehnay daitay hain Na yeh aazad kartay hian Nahin jis ki dawa koi Yeh aisa dard hotay hain Magar yeh bhi haqeeqat hai Har ik ko tou nhain miltay Baray nayaab hotay hain, Yeh dukh anmool hotay hian.........! DUKH ANMOOL HOTAY HIAN !................ DONYA |